Genealogical Silsila
Genealogical Table of Al-Haj Hafiz Syed Waris Ali Shah (R.A)
Prophet MOHAMMAD Sallallahu Alaehi Wasallam (Peace be on him)
Bibi Fatimuz-Zehra (Daughter Married to Hazrat Ali Murtuza Maula-E-Qainat)
Syed Syed Imam Hussain
Syed Imam Zainul Abiddin
Syed Imam Mohammed Baqar
Syed Imam Jafer Sadiq
Syed Imam Moosa Kazim
Syed Qasim Hamza
Syed Ali Raza
Syed Mohammed Mahdi
Syed Mohammed Jaffer
Syed Abu Mohammed
Syed Askari
Syed Abul Qasim
Syed Mahrooq
Syed Ashraf Abi Talib
Syed Azizuddin
Syed Alauddin
Syed Abdul Alad
Syed Abdul Wahid
Syed Umar Shah
Syed Zainul Abiddin
Syed Umar Noor
Syed Abdul Ahad
Miran Syed Ahmed
Syed Karmallah
Syed Salamath Ali
Hakim Syed Qurban Ali
Al-Haj Hafiz Syed Waris Ali Shah (R.A.)
Aqwal
- •
Suna Suna Muhabbat Karo Muhabbat
- •
Muhabbat Karo Muhabbat ! Muhabbat Hai Toh Sab Kuch Hai, Muhabbat Nahi Toh Kuch Bhi Nahi
- •
Begair Muhabbat Ke Namaz, Roza, Zakat, Hajj Sab Bekar Hai.
- •
Mohabbat mai Maa, Baap Maal Wa Daulat Aur Deen Wa Dunya Sab Kuch Chuth Jata Hai
- •
Mohabbat Mai Adab Wa Be-Adbi Ka Farak Nahi
- •
Mohabbat Aiyn Imaan Hai.
- •
Jo humse mohabbat kare wo hamara hai.
- •
Jisko sab shaitan kehte hai raahe mohabbat mai wo dost ban jata, dushmani nahi karta.
- •
Mohabbat mai intezaam nahi, Jaha intezaam hai waha mohabbat nahi.
- •
Jo kuch hai lagao {Mohabbat} hai baki sab jhagda wa dikhlawa hai, Agar lagao nahi toh kuch bhi nahi, duniya daari aur dukan daari hai.
- •
Zubani padhna likhna aur hai qalbi mohabbat aur chiz hai, zubani padhne likhne se kuch nahi hota, mohabbat ajeeb chiz hai.
- •
Roza Rooh Ki Giza Hai
Taleemat-E-Warsiya
Namaz
ِﻥَّ ﺍﻟﺼَّﻠٰﻮۃَ ﮐَﺎﻧَﺖۡ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟۡﻤُﻮٔۡﻣِﻨِﯿۡﻦَ ﮐِﺘٰﺒًﺎ ﻣَّﻮۡﻗُﻮۡﺗًﺎ.
YAQEENAN NAMAZ MOMINEEN PAR MUQARRARAH {Specified} WAQTO PAR FARZ HAI.
{Surah Nisa-Ayat-103}
Hazrat Abdullah Ibne Masood R.A Farmate Hai Ke Maine Huzoor Paak ﷺ se daryaft kiya k konsa Amal Allah Ko zyada pasand hai to Aap ﷺ ne irshad farmaya~
WAQT PAR NAMAZ PADHNA
{SAHI BUKHARI}
Quraan O Hadees Ki tashreeh krte hue, Sarkar Alampanah Huzoor Waris Paak Azamallahu Zikruhu Farmate Hai~
1. NAMAZ WAQT PAR ADA KARNA AFZAL AUR FARMABARDARI KI DALEEL HAI.
2. NAMAZ ME AMADAN DER KARNA KAHILI KI DALEEL HAI AUR MALIK K HUKM ME KAHILI ABDIYAT K MANAFI {Contradiction} HAI.
NOTE- NAMAZ APNE MUQARRAR WAQT PE FARZ HAI ISLIYE USKO WAQT PE ADA KARNA AFZAL HAI AUR KHUDA KO YE PASAND HAI AUR ASHIQ KA MANSAB HI YAHI HAI K EHKAME MASHOOQ K AAGE SARE TASLEEM KHAM RAHE ISLIYE TALEEM-E-WARSIYAT BHI YAHI HAI.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU-WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Roza
يٰٓـاَيُّهَا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا كُتِبَ عَلَيۡکُمُ الصِّيَامُ کَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِيۡنَ مِنۡ قَبۡلِکُمۡ لَعَلَّكُمۡ تَتَّقُوۡنَۙ
Aye Iman Walo Tum Par Roze Farz Kiye Gaye Hai Jaise Pehle Logo Par Farz Kiye Gaye The Taki Tum Parhezgar Bano
{Surah Baqarah Ayat 183}
Sarkar Aalampanaah Huzoor Waris Paak Azamallahu Zikruhu Farmate Hai~
1. SHOK SE ROZA RAKHNA AASHIQO KI SUNNAT HAI.
2. ROZA RAKHNE SE KHUDA KI MOHABBAT BADHTI HAI.
3. ROZA AISI QADR IBADAT HAI KI ROZEDAAR BANDE KO KHUDA APNE DOSTO MAI SHUMAAR KARTA HAI.
4. ROZA RAKHNE SE NAFS MAGHLOOB {Surrender} HOTA HAI.
5. ROZA GUNAHO KO MITATA HAI.
Roze Ka Asal Maqsad Hi Hasile Parhezgari Hai, Allah Yahi Chahta Hai Ke Uske Bande Parhezgar Ban Jaaye Aur Parhezgari Tabhi Hasil Hoti Hai Jab Banda Gunaho Ka Rasta Chhod Kar Uski Taraf Mutawwajo Hota Hai. Yani Jab Banda Gunaho Se Taiyb Ho Jata Hai Tab Parhezgaro Mai Shumaar Hota Hai {Jo Ke Bhut Mushkil Hai Par Na Mumkin Nahi} Aur Gunaho Ka Rasta Banda Tabhi Chor Sakta Hai Jab Uska Nafs Maghloob Ho Jaaye Yani Nafse Ammara Se Rukhsat Ho Kar Uska Safar Nafse Mutmainna Tak Pahuch Jaaye Aur Ye Saari Nemate Usko Roze Ke Zariye Hasil Hoti Hai.Islye Yahi Taleeme Warsiyat Hai Ke Roza Rakhne Se Nafse Ammara Se Chhutkara Milta Hai Aur Fir Khuda Ka Qurb Hasil Hota Hai.
Huwal-Warisul-Kareem.
Zakat
Zakat Bade Nafe Ki Tijarat Hai, Jis Maal Ki Sacche Dil Se Zakat Di Jaaye To Wo Maal Har Shar Se Mehfooz Ho Jata Hai, Usme Barkat Hoti Hai.
وَاَقِيۡمُوا الصَّلٰوةَ وَاٰتُوا الزَّكٰوةَ
Aur Namaz Qayam Karo Aur Zakat Ada Karo.
{Surah Baqarah Ayat 43}
Rasulallah ﷺ Ne Irshad Farmaya~
Jisne Apne Maal Ki Zakat Adaa Kar Di Toh Aisa Karne Se Maal Ka Shar Jata Raha { Yani Uska Maal Mehfooz Ho Gaya}
Sarkar Aalampanaah Huzoor Waris Paak Azamallahu Zikruhu Farmate Hai~
1. JIS MAAL KI SIDQ DIL SE ZAKAT DI JATI HAI KHUDA USKE MAAL KA MUHAFIZ HO JATA HAI.
2. BAD BAKHEEL WO HAI JO ZAKAAT NAHI DETA.
3. ZAKAAT KI FARZIYAT SE INKAR KARNA KUFR HAI.
4. KABHI MUTABASSUM LABO SE IRSHAD FARMAYA~ KI ZAKAAT BADE NAFE KI TIJARAT HAI KE 1 RUPAYE KE EVAZ MAI KHUDA DUS RUPAYE AUR BAAZ MAUQE PAR 70 RUPAYE DETA HAI.
5. MASHRABE ISHQ MAI ZAKAAT KI TAREEF YE HAI KE JO HALQ {Throat} SE FURU {Under} HO JAAYE WO APNI THI AUR JO BAQI RAHE WO SAB ZAKAAT HAI {Yani Mashrabe Ishq Mai Aashiq Ke Jo Basic Needs Hai Khana Peena Kapda etc Iske Ilawa Jo Kuch Bhi Extra Bache Aashiqeen Arifeen Use Rahe Khuda Mai De Deta Hai}. Lekin Shariat Mai Maal Ka Hisab Karke Zakat Dena Farz Hai Aur Wo Maal Jispe Pura Ek Saal Guzar Chuka Ho Uska 40va Hissa Yani 2.5 % Zakaat Farz Hai Aur Sahibe Nisaab Par Uss Maal Ko Apne Gareeb Rishtedaar Fir Miskeen Fir Yateem Mohalle Ilaqe Mai Mustahiq Tak Pahuchaye Yahi Farz Hai. Ye Chanda Khor Tanzeemo Ko Jo Zakaat Le Lalchi Log Hai Unko Dene Se Bache.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU-WA'ALA AALE MUHAMMADIU WABARIK WASALLIM.
Huwal-Warisul-Kareem.
Hajj
Sarkar Waris Paak Aalallahu Maqamuhu irshad Farmate hain~
1. Suna Suna Haj chand imtihanat ka majmua hai Jo is me sabit kadam raha , to us ka shumar khuda k dosto me hua.
2. Suna Suna Jisne khuda k bharose par Haj kiya to us ki imdad Ghaib se hoti hai.
3. Suna Suna Jis ne sidq wa khulus se Haj kiya us ka Imaan kamil hai.
4. Suna Suna Haji WO hai jis par Haqeeqate Haj Munkashaf (khul ) ho jaye.
5. Suna Suna Mezabe Rehmat ka paani gunaho ko dho deta hai , agar barish hoti hai to hujaj us k neeche khade hokr nahate hain.
6. Suna Suna Ashiq ka apne Mashooq se mil jaana hi HAJ-E-MAQBOOL hai.
Kisi ne Sarkar Alampanah Huzur Waris Paak Azamallahu Zikruhu se daryaft kiya k Sarkar aap kyse haaji hain, Abhi tak Ehram zebe tan kiye hue hai ,log to haj krte hain aur ehram utaar dete hai.
Sarkar Alampanah ne irshad farmaya~
"SUNA SUNA LOG HAJ KRNE JAATE HAIN KAABE KO CHHOD KAR AATE HAM KAABE KO LEKAR AAYE HAIN"
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU-WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal-Warisul-Kareem.
Waqiyat
Namaz
Hazrat Maulana Sirajul Yaqeen Sahab ke bete Hazrat Maulana Sadiqul Yaqeen sahab jo Hazrat Nijatullah Shah Qadri Rahmatullah Alaih ke Gaddi Nasheen the Sarkar Waris-E-Paak ke baare mein accha Gumaan nahi rakhte the. Saath hi apne Shagirdo ko Sarkar Waris-E-Paak ki bargah mein jaane se mana karte the. Maulana Sadiqul Yaqeen Sahab Ilm Hasil karne ke liye Baghdad Sharif tashreef le gaye, wahan kaafi saal rahe. Fir wahan se 7 saal Makkah Mukarrama aur Madina Munavvara mein qayam kiya. Fir jab Hindustan aane ka irada kiya toh pehle Deva Sharif Sarkar Waris-E-Paak ki khidmat mein hazir hue aur Sarkar ki Qadambosi ki. Log hairat mein the ke Maulana sahab toh Sarkar ke baare mein accha Gumaan nahi rakhte the, fir achanak se Sarkar se itni Muhabbat kaise ho gayi? Jab logo ne Maulana Sadiqul Yaqeen Sahab se poocha toh unhone bataya ke main Sarkar Waris-E-Paak ke Buland Maqam se bey khabar tha. Maine 7 saal tak Masjid-E-Haram aur Masjid-E-Nabvi mein Namaz padhi aur har Namaz mein maine apni Seedhi taraf Sarkar Waris-E-Paak ko Namaz Padhte Paaya. Yeh meri Aankho Dekhi baat hai. Iske baad maine apne Gumaan se Tauba kar li.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU-WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal-Warisul-Kareem.
Jinn
Baghdad Sharif mein Sarkar Waris-E-Paak ka ek mureed rehta tha jiski Biwi par har Itwar ek jinn sawar hota tha. Bohot Ilaj, dua karne ke baad bhi use koi rahat na mili. Jab Sarkar Waris-E-Paak Baghdad Sharif tashreef laaye toh woh mureed Aapki bargah mein hazir hua aur apni takleef Sarkar se bayan ki aur makan par tashreef laane ki guzarish ki. Ittefaq se woh itwar ka hi din tha. Jab Sarkar uske Makan par Tashreef le gaye toh jinn uss Aurat par Sawar hi tha. Sarkar ne uss Jinn se poocha ke woh kyu har Itwar iss Aurat par kyu Sawar hota hai, toh usne jawab diya ke main iss Aurat ka Aashiq hu, isi liye isse milne har Itwar ko aata hu. Sarkar Waris-E-Paak ne uss Jinn se irshad farmaya ke agar saccha Aashiq hai toh har Itwar ko hi kyu aata hai, har Roz aaya kar. Sarkar ke yeh Qalme sunn kar Jinn ne kaha ke aisa Ishq mujhe Manzoor nahi, main jaa raha hu aur ab kabhi nahi aaunga. Uske baad se woh Aurat bilkul theek ho gayi aur Sarkar ki Mureed ho gayi. Uss waqt Sarkar Waris-E-Paak ki Umr Sharif 14 saal thi.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU-WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal-Warisul-Kareem.
Gustakhi
Sarkar Waris-E-Paak ki Azmat-O-Shaukat dekh kar ek martaba khuch Ulema Sarkar Waris-E-Paak ke paas Imtihan lene ki garz se hazir hue. Sarkar ki bargah mein Hazir ho kar unhone kaha ke Aapka toh chehra hi Kaala hai aur aap Faqeeri ki Badi badi baatein karte hai (Naoozbillah Min Zalik). Sarkar Waris-E-Paak ka yeh Dastoor tha ke Aap Nazrein Jhukaye Baitha karte the. Jaise hi Ulema ke yeh Jumle Sarkar me sune Aapne apna Chehra-E-Aqdas utha ke kaha ke tum Kaale, aur fir se Nazre Jhuka li. Usi waqt unn sabki shaqle Kaale Suwar ki manind ho gayi aur 3 din tak unki Halat aisi hi rahi aur 3 din baad sab mar gaye. Unn sab ki Shaqle itni Bigad gayi thi aur itni badboo daar ho gayi thi ke unke ghar wale bhi dekhna nahi pasand kar rahe the. Rasool Allah ki aulad ki shaan mein jisne bhi Gustakhi ki beshaq uska Khatima bil Khair nahi hua hai.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU-WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal-Warisul-Kareem.
Milad Shareef
Moulana Shaayak Warsi Apni kitab Tohfatul asfiya me likhte hai ke Sayyed Abdul Ali Nagram niwasi Shairyat par chalne wale shakhs the unse aur kaazi Abdul Kareem se kaafi Rasm-o-vaywhar tha. Kaazi sahab ke maanne wale Milad karte aur khade hokar salam padte. Dusri Taraf Sayyed Abdul Ali kehte hai ke ye tarika Islam se bahar hai! Dono me behas takrar hoti rehte thi. Rabi-Ul-Awwal 1282 Hijri Mutabik 1862 isvi ko iktefak se Huzur Purnoor Waris Ali Shah Azamallahu Zikruhu bhi nagram tashreef farma the. Aapke Waha aane par Sayyed sahab aur Kazi Sahab dono Aadmi ne raaye kiya ki Huzoor se is sawal ko pucha jaaye. Dono Huzoor Ki khidmat me haazir huwe, bina kahe sune khud Sarkar Waris-E-Paak ne Sayyed Abdul Ali ki aur Dhayan karte huwe farmaya: Meer Sahab Ashiq apne Mashuq ke Sambandh me jo kahe Woh durust aur Theek hai. Jitna Adab-O-Ehtaram de munasib hai! Ilm Kuch aur hai Ishq kuch aur hai; Jab ki Rasool-E-Maqbul ﷺ Ne Ilm Ki badayi Bayan farmaye hai Lekin Maqtab-E-Ishq me ye bohat bada parda hai. Ye bhi farmaya ke Bohat se Ulema ki baate Gawaaro ke liye Shehed aur Aashiqo ke liye Zeher hoti hai. Jaisa ke Moulana Rumi ne Us Ilhaam ka maza chaka hai Aur is Tarah farmaya: 1) Moosiya Aadaab-E-Daana Digar-ad Sohkta Jaan Dard Darmaan Digar-ad Aye moosa Akal waalon ka adab aur hai aur dil jalo ke dard ki dawa aur hai 2)Tu Bara-E-Wasl Kardan Aamadi Nai Bara-E-Faslkardan Aamadi. Aap logo ko Khuda se milane aaye hai naa ke Alag karne aaye hai 3) Dar Haqe Umda Dar Haqe Jimm Dar Haqqe Oo Shahed Dar Haqqe Tu Simm Uske haq me woh baat badayi hai aur aap ke haq me wahi Burayi hai Uske liye woh Shehed hai aur aap k liye Woh zeher hai 4) Dar Haqqe Oo Noor Dar Haqqe Tu Naar Dar Haqqe Oo Ward Haqqe Tu Khar Uske liye wahi noor hai aur aap ke liye aag hai Uske haq me gulab ka Phool hai Aur aap ke liye aziyat dene wala kaata Sarkar Waris-E-Paak ke is Farman se Sayyed Abdul Ali sahab Ke mann ko Puri Shaanti hogayi! Aur koi sawal unhone nahi kiya. Phir Sarkar ne farmaya~ MEELAD KI MEHFIL AASHIQO KA IMAAN-E-KAMIL HAI.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Kaabe Mai Namaz
Huzoor Sarkar Waris Paak Azam Allah Zikrahu aur Hazrat Maulana Fazale Rahman Ganj Muradabadi Rehmatullah Alaih. Naql hai ke ik din Huzoor Sarkar Waris Paak Azam Allahu Zikrahu sher o shayahat farmate mukam ganj muradabad raunak afroz huwe. Janab Maulana Fazale Rahman Rehmatullah Alaih se mulakat ko tasreef le gaye. Jis waqt maulana se mulakat huyi maulana ne kamal e gulo shariyat se be khauf o khatar ye farmaya. Aap kya kehte hain us shakhs ko jo mutamidan namaz tark kare Hala ke hadeesh mein hai: Min tarka salat mutamidan faqad kafar wa zeen kabeel. Bohat si ahadees aur ayate maulana ne padhe Aur gayate taassuf se tehzeeb se guzar gaye Bohat si baate na shaista aap ki shaan mein keh gaye.Aap Huzur Sarkar Waris Paak ne Maulana ki baato ka to kuch jawab na diya Magar hath pakad kar ek kothri mein tashreef le gaye.Thodi der ke baad jo dono buzurg bahar nikle to maulana zaar zaar rote huwe bahar aaye. Phir aap se rukhsat chahi aur dusri jagah hasb e mamol shairo shayahat ko tashreef le gaye. Ab maulana ke mureedo ne puchna shuro kiya ki ya hazrat akhir maazra kya tha.Akhir kaar Janab molvi Mohammad Umar buland sehri jo hazrat Maulana Fazale Rahman Rehmatullah Alaih ke mumtaz mureedo mein hain unho ne ba israr tamam arz kiya ke maazra kya hai. Hazrat Maulana Fazale Rahman Rehmatullah Alaih ne farmaya ke kya kahon janab Imamul Auliya Huzoor Sarkar Waris Paak Azam Allahu Zikrahu apne saath mujhe kaaba le gaye aur wahan namaz padhayi aur jo meri manzil thi wo mujhe dikha di aur jo kuch neki badi hamne ki thi use bhi dikha diya. Khabardaar Khabardaar koi shakhs Khilaafe Shaan Hazrat Huzoor Sarkar Waris Paak ke na kahe Warna uski aqbat ba khair na hogi. Ref: Nidaye Gaibi, Aainul Yakeen.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Aajizi
Miya Zahoor Ashraf Sahab Ametvi Huzoor Waris Paak Azamallahu Zikruhu ke sath ek mauja jo dewa sharif se pacchim ki aur 5.5 mill ki door tha jaha par ek patli gali mai samne ki aur se ek kutta aa raha tha. Huzoor Waris Paak Azamallahu Zikruhu ne apna Ehram Shareef kutte se bachane ke liye utha liya. Ye dekhkar Huzoor Ashraf Sahab ne bhi apna kapda utha liya. Huzoor ne muskurate hue pucha "Tumne apne kapde kyu bachaya?" Unhone kaha ki jis tarah Huzoor ne kutte ki najaasat se apne Ehram ko bachane ke liye utha liya, usi tarah humne bhi najaasat se bachne ke liye kiya. Ashraf Sahab ne pucua aapne kyu kiya toh aapne ne kaha Maine islye Tehband upar kiya ki kahi mere kapde se kutta napak na ho jaaye. Sarkar Waris Paak Azamallahu Zikruhu ke Aajizi ka maqam ye tha ki aap har makhlooq se apne aap ko kamtar samajte the.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Sabr
Sarkar Waris-E-Pak ek martaba paidal safar mein the. Khuch arsa paidal chalne ke baad ek oont (Camel) par ek Maulvi sahab aaye, woh bhi safar mein the. Maulvi sahab Sarkar se kehne lage ke Haji Sahab badi garmi hai, Aaiye mere oont par baith jaiye, Sarkar ne kaha nahi Hum paida jayenge. Bahr haal unke bohot zidd karne ke baad Sarkar oont par sawar ho gaye. Maulvi sahab bohot zor zor se "Innalaha Ma'as Sabireen" (Allah sabr karne walo ke saath hai) ka wird kar rahe the. Sarkar Waris-E-Pak ne kaha ke Maulvi sahab kya padh rahe ho? Maulvi sahab gusse mein kehte hai ke Haji Sahab ajeeb baat hai, Qur'an ki itni mashoor ayat tumko pata nahi? Innalaha Ma'as Sabireen, yeh sabr ki ayat hai, main iska wird humesha karta hu. Sarkar ne farmaya bohot acchi baat hai. Kyunki garmi bohot thi toh paani khatm ho gaya. Pyaas ke maare Maulvi sahab gusse mein 'Paani, Paani' chillane lage. Jab Maulvi sahab Sarkar ke paas aake paani paani chillane lage toh Sarkar ne muskura kar farmaya "Innalaha Ma'as Sabireen" , Maulvi sahab yeh sabr ki ayat hai. Yeh sunn kar Maulvi sahab ko uss ayat ka asl matlab samajh mein aaya aur Sarkar ke qadmo mein sar rakh diya. Farman-E-Waris Pak: Suna Suna Sabr O Raza Ka Martaba Jisko Bhi Mila Ahle Bayth Ke Ghar Se Mila.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Muharram
Sarkar Alampanah Huzur Waris Paak Azamallahu Zikruhu ko Moharram se bhi bhut lagao tha. Taziya wale gharo par aap jaate the. Kabhi baithe the aur kabhi thodi der khade hoker lauth aate the. Jeevan ke antim charan mai Aap keval Dewa Sharif mai 2 Taziyo tak jaate the. Choti Bibi aur Ghaseeta Miya ke Taziya tak. Baki sabi Taziya aapke dwar tak aate, uss samai aap bahar khade hoker Taziyo ko dekhte rehte the. Jab Taziya wale apni apni Taziya lekar chale jaate toh aap andar chale aate the. Moharram ki 10vi aur 40vi ko aapke chaukat par Sabil rakhi jati thi. Sarkar Waris Paak Moharram mai raat mai zyda Quran padhte the. Moharram ke 10 dino mai Aap Marsiya bhi sunte the aur Ahle Bayth ki Veerta bhi sunte the. Lekin jab koi Ben {Rodan ya Rota} Karta toh aap kehte yeh Galat hai. Wo Tasleem Raza pe the, aisa nahi hua. Ye sab toh Rone Rulane ke liye banaye hai.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Ishq
Ek Shakhs ne Huzur Qibla Sarkar Alampanah Huzur Waris-E-Pak Azamallaho Zikruhu se Lucknow mein Arz kiya ke Maine Tamam Umr fuzuliyaat mein zaaya ki aur Jawani ke ayyaam mein bohat Na-Shaaista Harkatein ki ab siwaye Hasrat aur Ashk-E-Nidamat ke mere paas kuch nahi, Khuda ke liye Dua farmaiye aur Mujhe Raahe Raast dikha dijiye. Huzur Alampanah Waris-E-Panjatan ne Muskurate hue farmaya "ISHQ KA KHEL KHELO" Us shakhs ne arz ki ke Main nahi Janta Ishq kya cheez hai aur Aashiq kaun hota hai? Agar Ishq se Muraad Aurton aur Mardo se Muhabbat hai to ye Maine Baar-Ha kiya magar siwaye Dunya aur Aakhirat ke Nuqsan ke kuch Hasil na hua. Is par Huzur Anwar Waris-E-Pak A'alallaho Muqamuhu ne farmaya ke agar Tum Ishq hi nahi jante to Ishq-Bazi kaise kar sakte ho? Usne jawab diya ke main isi liye pareshan hun aur iska koi ilaaj nahi janta . Huzur Alampanah Waris-E-Paak Azamallahu Zikruhu ne irshad farmaya : Ishq Teen Hurf se Murakkab hai "Ayn" "Sheen" "Qaaf". "Ayn" Se Ishara Hai Ibadat E Zahiri O Batini Karo. "Sheen" Se Ishara Hai Ke Kamal E Zauq O Shauq Se Shari'at E Mutah-Hara Ki Pabandi Karo. "Qaaf" Se Ye Matlab Hai Ke Sidq Ke Sath Nafs Ko Qurban Kar Do.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Chadar
Khadim-E-Khaas Huzoor Haji Aughat Shah Warsi jab apne walid Hazrat Sayed Shamsuddin Qadri Sabri ke urs mein shamil hone ke liye Sarkar Waris Paak ki bargah mein ijazat lene ki garz se hazir hue toh Sarkar Waris-E-Pak ne unko 3 chadar de ke wida kiya. Huzoor Aughat Shah farmate hai ki ek unke walid ki Mazar aur ek Hazrat Sohrab Shah ki mazar, yeh 2 Mazar Masjid mein thi jo unhone chadha di thi aur Teesri Chadar rakh li thi. Raat mein Sarkar Waris-E-Paak khwaab mein tashreef laaye aur Masjid ke ek Kinare ki taraf ishara kar ke farma rahe hai ke wahan ek aur Mazar hai. Subah uthte hi Huzoor Aughat Shah Warsi uss jagah khudwate hai aur wahan se ek aur Mazar Sharif baramad hoti hai. Isse pehle kisi ko bhi iss Mazar ka Ilm nahi tha. Lihaza Aap woh Teesri chadar jo Aapke Peer Waris Paak ne ata farmayi thi uss Mazar Sharif par Chadha dete hai.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Etawah Sharif
Ek martaba 25 Zill Hajj 1280 Hijri (1860 AD) mein Sarkar Waris-E-Paak Etawah Sharif mein jalwa afroz the. Hazrat Shah Sarfaraz Ali Masoodi Shakarganji Rahmatullah Alaih ke mureed Hazrat Sayed Maulvi Farzand Hussain Vakil wahan se guzar rahe the. Maulvi sahab ki isse pehle Sarkar se mulaqat nahi hui thi. Jab Sarkar ne Maulvi sahab ko dekha toh unhein saamne se bulaya aur farmaya ke tum Shaykh Khairudddin ke bhanje ho, Unka kal (24 Zill Hajj) Makkah Mukarrama mein Intiqal ho gaya. Maulvi sahab ne usi waqt tareekh yaad kar li aur ghar aa gaye. Jab unke chacha Haji Khadim Hussain Sahab hajj se ghar wapis aaye toh unhone Shaykh Khairuddin ke intiqal ki tareekh theek wahi batayi jo Sarkar ne ek din pehle kal keh ke bataya tha.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Turkey Ka Safar
Jab Sarkar Waris-E-Paak Turkey ke safar mein the Aap Abdullah Hajab Warsi {Jo Makkah Mukarrama mein Aapse mureed hue the} ke ghar ruke the. Uss waqt Satlanat-E-Usmaniya ke 31st khalifa Hazrat Sultan Abdul Majeed Khan ki hukumat thi. Abdullah Sahab shahi darbar mein kaam karte the aur Sultan tak unki rasai thi. Al garz Abdullah Sahab israr kar ke Sarkar Waris-E-Paak ko shahi baug ki sair ke liye le gaye. Sarkar baug mein baithe hi the ke itne mein Sultan Abdul Majeed Khan ki shahi sawari aayi aur poore roab ke saath Sarkar ke saamne ruk gayi. Sultan hairat mein the ke ek ehramposh faqeer itni bey niyazi se shahi baug mein baitha hai. Sultan abhi hairat mein hi the ke Sarkar Waris-E-Paak ne use ek nazar dekha aur woh seedha Sarkar ke qadmo mein gir pade. Sultan ne Abdullah Sahab se poocha ke yeh buzurg kaun aur kahan thehre hai? Abdullah sahab ke jawab dene se pehle hi Sarkar Waris-E-Paak ne Turkish zuban mein farmaya "Faqeer ka koi ghar nahi aur sab ghar Faqeer ke". Sultan ne hairat se poocha ke Aap Turkish zuban bhi jaante hai? Sarkar ne farmaya ke Humein Dil ki Zuban Aati Hai aur Jise Dil ki Zuban Aati Hai woh Sab Zubanein Jaanta hai. Sultan laa jawab ho chuke the, sab ameer, wazeer, ghulam hairan pareshan the ke yeh kis paaye ka Faqeer hai jiske saamne Arab wa Ajam ka Sultan bey bus khada hai. Sultan ne kaanpte larazte hue Sarkar se shahi mahal mein aane ki darkhwast ki, Sarkar ne dawat qubool ki aur doosre din shahi mahal mein aane ka waada kiya. "Shahi Mahal Mein Sarkar Ka Shahi Istaqbal" Doosre din jab Sarkar Waris Paak Sultan Abdul Majeed ke mahal {Topkapi Palace} mein tashreef le gaye tab nazara dekhne layak tha. Sultan ka poora Khandan, wWzeer, Ghulam aur Mahal ke tamam log andar se bahar tak Saff Dar Saff Gardan Jhukaye Sarkar Waris-E-Paak ke Istaqbal ke liye Khade the. Al garz, jab Sarkar tashreef laaye toh pehle toh Sultan Abdul Majeed Khan aur unke Khandan wale Mureed hue. Uske baad mahal ke tamam Wazeer, Ghulam aur Mahal ke baaki log Aapke Dast-E-Haq par Bai'at hue. Ab sheher mein Sultan ki iradatmaandi aur Sharf-E-Ghulami hasil karne ki khabar mashoor hui toh mahal ke neeche hazaro logo ka hujoom lag gaya. Har shakhs Aqeedatmandi ke josh mein ghulami hasil karne ke liye Bey chain nazar aata. Hujoom ki kasrat ke Pesh-E-Nazar Sarkar ne hukm diya ke mahal ke neeche ek rassi laga di jaaye aur ailan kiya jaaye ke jo iss rassi ko choo lega woh Humara Mureed hai. Rassi lagate hi Majma Bey Kaabu ho gaya toh ghulamo ne arz kiya ke Sarkar! Muhabbat ka yeh tamasha kahi Khoon Rezi mein na badal jaaye, yeh sunn kar Sarkar Waris-E-Paak jharokhe {Balcony} mein tashreef laaye aur aqeedatmando ko apne chaand jaise chehre ka deedar karate hue farmaya "Jisne Humein dekh liya woh Humara mureed ho gaya". Iss tarah logo ne Sarkar ke Chehra-E-Anwar ka deedar kiya aur aapas mein ek doosre se gale mil ke mubarakbaad dene lage goya eid ka din ho. Sultan ke israr karne par Aapne yahan ek hafta qayam farmaya. Dauran-E-Qayam roz hazaro log Aapse milne aur faiz hasil karne aate.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Cheentiya
Deva Sharif se 23 kms door ek gaao hai Satrikh jo Awwal Faath-E-Hindustan Hazrat Sayed Salar Masood Ghazi Rahmatullah Alaih ke bhanje Hazrat Sayed Salar Sulaiman Rahmatullah Alaih ki nisbat se Sulaimanabad ke naam se bhi mashoor hai aur yahan Hazrat Sayed Salar Masood Ghazi ke walid Hazrat Sayed Salar Sahoo Ghazi bhi aaram farma hai. Jab Sarkar Waris-E-Paak iss gaao mein jalwa farma the toh achanak aapke Jism-E-Aqdas se hazaro Cheentiya lipat gayi, tamam Mureed yeh Manzar dekh ke Ghabrane lage toh Sarkar Waris-E-Paak ne irshad farmaya ke daro nahi, Cheentiya humari Mureed ho rahi hai. Yeh hai Aulad-E-Ali ki shaan ke jiske Charind, Parind ,Darind bhi Mureed hai. Yahan woh Maulana Sahab ki bhi Mazar Sharif hai jinhone Sarkar Waris-E-Paak ko Bismillah padhaya tha, Unke seene par Qadam-E-Rasool rakha hua hai.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Hajj
Tawaf-E-Baitullah ke dauran Sarkar Waris-E-Paak nihayat hi Khoobsurat andaz mein Hazrat Shah Niyaz Bey Niyaz Rahmatullah Alaih ka Mashoor kalam 'Ishq Mein Tere Qoh-E-Gham' padh rahe the. Jab Haram Sharif ke mutawa (police) ne yeh suna usi waqt daudte hue Sarkar Waris-E-Paak ki khidmat mein aa kar kehne laga ke Shehzade, yeh Khuda ka Ghar hai, yahan yeh Kalam nahi padh sakte, usi waqt Sarkar Waris-E-Paak ne irshad farmaya ke theek hai, koi aisi jagah bata do jahan Khuda nahi hai, Hum wahan jaake yeh Kalam padhege. Yeh sunn kar doosre Mutawa ne kaha ke yeh Faqeer hai, ise Chhod do, aur dono mutawa Aapki Qadambosi kar ke chale gaye. Dauran-E-Hajj Sarkar Waris-E-Paak din mein tamam Muqaddas Maqamat ki Ziyarat karte, Roza rakhte aur Raat mein jab Haram Sharif mein log kum hote toh Maqam-E-Ibrahim ke peeche khade hoke 2 rakat Namaz Ada karte aur Behtareen Misri Qirat mein Poora Qur'an Tilawat farmate.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Saadat
Jab Hilaku Khan ne aakhri Abbasi Khalifa Muhtasim Billah par hamla kar ke Baghdad Sharif par qabza kiya toh Sarkar Waris-E-Pak ke jadd Hazrat Sayed Ashraf Abi Talib Rahmatullah Alaih jo uss waqt Baghdad Sharif ke Ulema Kiram wa Mashaykh ke sardar maane jaate the sabko saath le kar Nishapur chale gaye. Khuch arsa Nishapur mein rehne ke baad Khurasan Sharif mein Sarkar Imam Ali Raza Alaihissalam ki bargah mein hazri dete hue Hindustan mein Kintoor mein qayam farmaya. Kintoor mein Aapki aal aulad lagbhag 400 saal rahi. Fir Hazrat Sayed Abdul Ahad Shah Rahmatullah Alaih (Sarkar Waris Pak ke pardada ke pardada) Deva Sharif tashreef le aaye. Hazrat Sayed Abdul Ahad ke bete Hazrat Sayed Meeran Sayed Ahmed ke bete Hazrat Sayed Karamallah Shah ke 3 bete the. Salamat Ali (Sarkar Waris Pak ke Dada), Basharat Ali, Sher Ali. Hazrat Sayed Sher Ali Shah ki sahabzaadi Hazrat Sayeda Bibi Sakeena hai jo Sarkar Waris-E-Pak ki walida majida hai. Sayed Salamat Ali ke 2 bete the. Mukarram Ali aur Qurban Ali (Sarkar Waris Pak ke walid). Iss tarah se Sarkar Waris-E-Pak ke walid aur walida dono Hussaini saadat hai.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Soorat
Sarkar Waris-E-Paak Shikohabad mein Jalwa Afroz the. Chaudhary Khuda Baksh Sahab Qadambosi ki Garz se Hazir hue, uss waqt khadim ne unhein bataya ke koi shakhs Sarkar se Mureed ho raha hai. Woh Hujre ke bahar baith gaye, thodi der baad unhone dekha ke Sarkar bahar Tashreef laaye, Chaudhary Sahab Tazeem ke kiye Khade ho gaye lekin Sarkar bohot Tezi se guzar gaye, itne mein Khadim ne unhein Aawaz lagayi ke Andar Tashreef le Aaiye, Sarkar bula rahe hai. Chaudhray sahab Hujre mein Dakhil hote hi Hairan ho gaye ke abhi toh unhone ne Sarkar ko bahar jaate hue dekha tha aur abhi Sarkar andar Jalwa farma hai. Chaudhray Sahab isi Hairat mein doobe hue the ke Sarkar Waris-E-Paak ne Muskura ke irshad farmaya ke jise Tumne bahar jaate hue dekha tha woh wahi shakhs tha jo Humse Mureed hone aaya tha, jo Humse Mureed hota hai Hum use apne Jaisa bana lete hai, Fir uska Fayl aur uski Qismat hai, jo Soorat chaahe Ikhtiyar kare.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Muhabbat
Maujabaandh mein 2 Dost rehte the. Dono ne Ek doosre se Waada kiya tha ke hum dono dost Ek hi Peer se Mureed hoge. Unn mein se Ek kisi Doosri jagah chale gaya. Jab Sarkar Waris-E-Paak Maujabaandh mein Jalwa Afroz hue toh doosra Dost Aapki khidmat mein Hazir hua aur Mureed hone ki Khwahish Zahir ki. Chunki uska Dost hazir na tha toh uske mann mein Dost se kiya hua Waada Yaad aaya ke dono ne faisla kiya tha ke dono dost Ek hi Peer se Mureed hoge. Woh isi Kashmakash mein tha ke Sarkar ne use Bahar baithne ka Hukm diya. Thodi der mein Sarkar ne use Andar bulaya aur farmaya ke Tumhara Dost bhi humse Mureed ho chuka hai. Yeh sunte hi Khushi khushi woh bhi Sarkar ka Mureed ho gaya. Ek ghante Baad use uske Dost ka Taar (Telegram) mila jis mein likha tha ke main Sarkar Waris-E-Paak ka mureed ho gaya hu, Agar Sarkar Maujabaandh Tashreef laaye toh tum bhi mureed ho jaana. Sarkar Waris-E-Paak ne usse Muskura kar farmaya ke agar Mohabbat hai toh Hazar Kos par bhi Hum Tumhare saath hai.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Noor
Ek martaba Sarkar Waris-E-Paak Hafiz Ramzan Ali Sahab ke ghar mein jakwa afroz the. Bohot se chahne wale bhi maujood the. Hafiz Sahab ne guftagu ke dauran kaha ki humne suna hai ki Hazrat Sayed Abdul Razzaq Shah Banswi Rahmatullah Alaih (Sarkar Waris Paak ke Dada Peer ke Dada Peer ke Peer) ki kamar par agar chadar baandh ke kheechi jaati toh chadar gaanth ke saath bahar aa jaati, yeh baat khuch samajh mein nahi aayi, Sarkar ne muskura kar farmaya ke Humari kamar par bhi ek chadar baandh ke kheecho. Aisa hi kiya gaya aur dekha gaya ke bandhi bandhayi chadar gaanth ke saath bahar aa gayi. Yeh dekh kar tamam log hairat mein the. Sarkar Waris-E-Paak humesha nange paao hi rehte lekin kisi ne bhi kabhi aapke Talwe mubarak maile nahi dekhe. Yeh hi nahi, logo ne Aapka Imtihan lene ke liye raaste mein Keechad bhi rakhi lekin Keechad se bhi aapke Talwe mubarak maile nahi hue Hatta ke Keechad par Aapke Qadmo ke Nishan bhi nahi Dikhayi Padte the. Teri Nasl-E-Paak mein hai baccha baccha Noor ka, Tu hai Ain-E-Noor Tera Sab Gharana Noor ka. Huzoor Ala Hazrat Rahmatullah Alaih.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Zard Ehram
Baghdad Sharif mein dakhil hone se pehle Sajjadanasheen-E-Dargah Hazrat Sayed Mustafa Jeelani ko Huzoor Gaus-Ul-Azam ne yeh basharat di ki 'Hindustan se Humare ghar ka Raushan Chiragh aa raha hai, Use Zard Rang ka Ehram Pesh kiya jaaye, Uska naam Waris Ali hai'. Poore Baghdad Sharif mein Sarkar ke aane ki Khabar Fayl chuki thi. Janab-E-Sajjada ne fauran Do Ehram Zard Rang ke banwaye aur Baghdad Sharif ke tamam log aapki aamad ka Intizar karne lage. Aapke Baghdad Sharif pohochne par Aapka Bey Misal Istaqbal kiya gaya aur Dargah Sharif mein Thehraya gaya. Jab Aapko Zard Rang ka Ehram Pesh kiya gaya toh Baaz log Aitraz karne lage aur Sahib-E-Sajjada se Daryaft kiya ke 'Huzoor sabko toh Khirqa-O-Dastar ata farmate hai, Magar aapko Zard Ehram pesh karne ka kya sabab?' Iss par unhone ne jawab diya ke hum dastar apni marzi se dete hai lekin Sarkar Waris-E-Paak ko Ehram Pesh karne ka hukm khud Huzoor Gaus-Ul-Azam ne diya hai. Yeh hi nahi, Sahib-E-Sajjada ne apni taraf se bhi Sarkar Waris-E-Paak ko Ek Maroon aur Ek Sabz Rang ka Ehram Pesh kiya.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Rehmat
Punjab mein Sarkar Waris-E-Paak ka ek Mureed rehta tha. Uski Biwi ko ek Beemari ho gayi thi aur Beemari itni badhi ke uska Intiqal ho gaya. Mureed bohot udaas ho gaya aur isi Alam mein Khudkhushi karne ka Faisla liya. Khudkhushi karne se pehle use Khayal aaya ke ek baar apne Peer Waris Paak se zaroor milna chahiye. Isi Khayal ke saath woh Punjab se Deva Sharif ke liye rawana hua aur nikalne se pehle tamam Gharwalo ko kaha ke jab tak main na aau koi bhi meri Biwi ka Qafan Dafan nahi karega. Railway station uske Ghar se Door tha toh raat hone par ek Gaao mein Panah li. Jab subah hui toh usne Door se dekha ke khuch log aa rahe hai. Jab usne paas jaake dekha toh woh koi aur nahi balki Sarkar Waris-E-Paak ki Mubarak Zaat thi. Sarkar ko dekhte Saath hi woh Bina khuch kahe Sarkar ke Qadmo se lipat ke Rone laga. Mureed ko Rota dekh Sarkar ki Rehmat ne Josh Maara aur Sarkar ne sirf itna faramaya ke tumhari Biwi Behosh hui hai, tum wapis jaao. Jab woh ghar wapis aaya toh uske hlHosh ud gaye the. Usne dekha ke uski Biwi bilkul theek thaak baithi aaram se baatein kar rahi hai goya khuch hua hi na ho. Jab usne Ghar walo se poocha ki yeh sab kab hua toh unhone ne subah ka wahi waqt bataya jab woh Sarkar ke Qadmo se Lipat ke Ro raha tha.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Shifa
Akbarabad mein Sarkar Waris-E-Pak Azamallahu Zikruhu ke ek aqeedatmand Qazi Rehmat Ali Akbarabadi rehte the jinke bhai Muhammad Baksh ki tabiyat bohot ajeeb ho gayi thi. Kisi ne unko dhokhe se Para (Mercury) khila diya tha jiski wajah se unka poora jism sadne laga tha aur ungliya kat ke girne lagi thi. Unke jism se itni badboo aane lagi thi ke unke ghar wale bhi unke paas nahi jaate the. Jab Sarkar Waris-E-Pak Azamallahu Zikruhu Akbarabad tashreef le gaye toh Muhammad Baksh ko Sarkar ke saamne hazir kiya gaya. Sarkar ne unki peeth par haath maara aur sirf itna faramay ke yaqeen rakhna. Yeh farma kar Sarkar wida ho gaye. Agle din hi Muhammad Baksh ki tabiyat poori tarah theek ho gayi aur tamam hakeem achambe mein the ke inki beemari itne jaldi kaise theek ho gayi. Isi tarah Sarkar Waris-E-Pak Azamallahu Zikruhu laakho laa ilaj logo par karam farma ke unko theek kiya hai .
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Barkat
Agra mein Sarkar Waris-E-Pak Ke Ek Mureed Chaudhary Khuda Baksh Warsi Rehte The Jinki Beti Ki Shaadi Hone Waali Thi. Ladke wale bohot hi Ameer Gharane ke the toh Chaudhary Sahab Ghabraye hue the ke kahi Mehman Nawazi mein koi kami na reh jaaye aur unki Badnaami Na jo jaaye. Chaudhary Sahab Sarkar Waris-E-Pak ki bargah mein hazir hoke kehne lage ke Sarkar meri beti ki Shaadi hai, Barat bade Ghar se aane waali hai. Sarkar Waris-E-Pak ne Muskura kar farmaya ke koi baat nahi. Jab Barat aayi toh Mehman bohot hi zyada tadad mein Nazar aane lage. Chaudhary Sahab ne usi Waqt Sarkar Waris-E-Pak ka Ehram Mubarak jo unke paas tha wo liya aur Khane ke Bartan ko Dhaak diya. Khane mein itni Barkat ho gayi ke Tamam Baratiyo ne toh Pet Bhar Khana Khaya hi, Saath hi Poore Gaao mein Khana Takseem karaya gaya. Tamam Barati Ta'ajjub mein the ke itna Khana Kaise banaya gaya. Sarkar Waris-E-Pak apne Mureedo ke liye Baais-E-Barkat ban kar tashreef laaye hai aur Alhumdulillah hum Warsiyo ka yeh aqeeda hai ke humara Peer Waris kabhi humari izzat pe Aanch nahi Aane dega.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem