Sarkar Waris Paak Azamallahu Zikruhu Mai Ye Ek Aise Fuqra Hai Jinko Sarkar Ne Ehramposhi Toh Door Mureed Karne Se Bhi Pehle Aapko Laqab Se Nawaza "Gulab Shah". Inka Waqia Kuch Iss Tarah Ye Talib Hone Ke Liye Bhut Bechain The Innke Dost Aur Ye Dono Gaye Kisi Buzurg Se Mureed Hone. Wo Buzurg Ne Unke Dost Ko Toh Mureed Kar Liya Aur Gulab Shah Ko Kaha Aapka Hissa Mere Paas Nahi Hai. Jinka Hissa Aapke Paas Hai Wo Aapko Dhoond Lege. Gulab Shah Ko Yahi Fikar Rehne Lagi Ki Hum Bhi Kisi Se Mureed Ho Jate, Hamara Bhi Koi Peer Hota Toh Hum Raahe Nijat Paaa Lete.Itne Mai Ye Shehre Mai Nikle Aur Dekha Ki Ek Gufa Ke Andar Bhut Zyda Andera Hai Aur Waha Se Bhut Zyda Khusboo Aa Rahi Hai. Itne Mai Gufa Ke Andar Gaye Aur Dekha Ki Andere Mai Sarkar Waris Jalwa Afroz Hai Aur Andere Mai Sarkar Waris Ka Noor Jagmaga Raha Hai, Itne Mai Hi Sarkar Waris Ne Kaha Gulab Shah Aa Gaye Tum Toh Hamare Gulab Shah.Subhan Allah.
Jab Se Ye Kehna Tha Tum Gulab Shah Ho, Abhi Mureed Bhi Nahi Kiya, Abhi Ehramposh Bhi Nahi Kiya. Itne Mai Aapke Badan Se Gulab Ki Khushboo Aane Lagi. Baad Mai Sarkar Ne Aapko Mureed Kiya Aur Ehramposh Kiya {Libase Faqr Ataa Kiya}
Gulab Shah Warsi Ka Laqab Ataa Kiya. Gulab Shah Warsi Rematullah Alaih Aapke Pehle Mureed Aur Ehramposh Faqeer Hai.
Gulab Shah Warsi Rehmatullah Alaih Ka Mujaida Ye Hai Ki Aap 44 Saal Tak Soo Hi Nahi.
Sarkar Waris Paak Ne Farmaya Gulab Shah Gulab Shah Iss Darakh Ke Niche Baith Jaao Aur Aankhe Khole Rakho,Jo Kuch Khuda Dikhaye Wo Dekhte Raho. Uss Bandaye Khuda Ne Uss Gulab Shah Rehmatullah Alaih Ki Zaat Pe Lakho Salam.
Unhone Apne Peer Ki Baat Par Amal Karte Hue Uss Darakh Ke Niche Baith Gaye Aur 44 Saal Tak Soye Hi Nahi, Apni Aankhe Kholi Rakhi.
Jo Aqle Insani Se Door Door Tak Pata Nahi Milta Aise Aise Mujaide Sarkar Waris Paak Ne Apne Mureedo Se Karwaye Hai.Science Kehti Hai 3 Din Pyaas Se Reh Sakta Hai Aur 5 Ya 7 Din Tak Begair Khaaye Reh Sakte Hai, Lekin Begair Soye 72 Ghanto Se Zyda Nahi Reh Sakta Uski Maut Ho Jagey Aur Gulab Shah 44 Saal Tak Aankhe Kholi Rakhi, Soye Hi Nahi.Yaha Par Medical Science Ki Theory Fail Ho Gayi Aur Isi Ko Kehte Hai Mujaida.
Sarkar bhut khush hue aur apne khaas Mureed ko bhut Duaein di. Sarkar ne Hafiz Gulab Shah Warsi ke Ishq ko dekh kar kaha tha ke Gulab Shah tumhari 7 Peedhiya humse mureed hai
Sarkar Waris-E-Paak ne Gulab Shah ko farmay ki Pani bata karo jo tumhare hath se Pani piyenga usse Shifa'at Mil Jaegay.
Hafiz Gulab Shah Warsi pani phoonk kar dete the. Pani pine wala Shifa paa jata tha. Aapke waha Jawan, Buddhe, Baccho ki bheed lagi rehti thi. Darwaze par Rogiyo, Dukhiyo ka Tanta bana rehta tha. 8 10 bhishti pani liye khade rehte the aur mitti ke thokre mai pani bhjete the. Ittefaq se Collector Sahab Bahadur ki patni ko prasav peeda (pregnancy mai dard) hui, do chaar din isi taqleef aur pareshani mai guzar gaye. Doctor bhi pareshan ho gaye. Logo ne Jilla ke mahoday se kaha yaha par ek Faqeer rehte hai wo har beemari ke liye pani phoonk kar dete hai. Collector Sahab ne pani maanga kar istemal kiya. Bacha paida hua. Collector sahab ne bade sahab se maang kar panch hazar aamdani ek moje ki sanad banakar tehsildaar sahab ke hath se bheja. Hafiz Gulab Shah lene mai sochne lage aur isi mamle mai unhone ek khat (letter) Sarkar Waris Paak ki seva mai bheja ki jo aapki ijazat ho kiya jaaye. Aapne Gulab Shah ko hukum kiya ki Gulab Shah khud hi inkaar kar dena jaruri tha jo sab beemari ko door kar sakta hai, Wo bhook, pyaas ki taqleef ko bhi bardash kar sakta hai. Jo Lalach mai gir jaaye wo hamara nahi. Gulab Shah ne sanad lene se inkaar kar diya. Collector sahab udaas ho uthe aur kuch soch samaj kar Hafiz Sahab ke makan se lag kat ek masjid bana di.
Sarkar Alampanah Huzoor Waris Paak Azamallahu Zikruhu farmate hai ~ Gulab Shah Na Tama Karo, Na Mana Karo, Na Jama Karo.
Huwal Warisul Kareem.
Huzoor Bedam Shah Warsi Ki Paidaish 1876 Mai Uttar Pradesh Ke Goan Ittawa Mai Hui. Bedam Shah Ka Asli Naam Ghulam Hussain Hai. Aap Jab Baith Hue Aapki Umr 16 Saal Thi. Sarkar Waris Paak Azamallahu Zikruhu Se Baith Hone Ke Baad Aapka Naam "Bedam Shah" Hua. Fir Aap Dewe Mai Aaye Aur Sarkar Se Aapko 17 saal ki umr me Ehram shareef ata hua. Ehramposh karte waqt Sarkar Waris Paak ne apna Dast-E-Mubarak fir (Hath Mubarak) pusht par mara, toh Sarkar ke panje ka Nishan zindagi bhar aapki peeth par raha jiske sabab Aap jab bhi ghusl karte toh Ehram pehen kar hi karte. Jise faqeer apne liye Tamanna E Sarfrazi Wa Nishane Kamraani (yani kamyabi) samjhta hai. Aapne Puri Zindagi Dewe Mai Hi Guzari. Aap Ko Shair O Shayri Ka Bhut Shok Tha.
{Kitab Ta'Aruf, Safa-145} "ہمی بس است کہ داغ غلامیش دارم"
Sarkar Aalampanaah Huzoor Waris Paak Azamallahu Zikruhu Farmate Hai~
1. SUNA SUNA BEDAM HAMARA SH'AYIR(شَعَائِرِ) HAI.
2. SUNA SUNA BEDAM TUM HAMARE AUR HUM TUMHARE HAI.
3. SUNA SUNA JIS MEHFIL MAI BEDAM KA KALAM PADH DIYA JAAYE WO MEHFIL MAI DAM AA JATA HAI.
Apne Murshide Bar Haq Ke Wisal Ke Baad 21 Saal Ba Hayat Rehkar San 1936 Ba Maqam Lucknow Hussainganj Mai Wisal Farmaya. Vasiyat Ke Mutaqib Aapko Dewe Sharif Mai Jagah Di Gayi.
Iss Khake Aastan Pe Ek Din Fanaa Bhi Hoga, Ki Bana Hua Hai Bedam Isi Khake Aastan Se.
Huwal Warisul Kareem.
Aap Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya Mehboob-E-Ilahi Raziallahu Taa'la Anhu ki behen Bibi Ruqayya ki aulad se hai aur Hazrat Makhdoom Pak Rahmatullah Alaih (Dasna) ke sajjadanasheen bhi hai. Humare Rehbar Hazrat Al-Haaj Sufi Rafique Ali Shah Warsi Aap hi se Dakhil-E-Silsila hai. Aap Hazrat Haji Miya Mehmood Shah Warsi se mureed aur Unhi ke Faqeer hai. Sarkar Sayed Mashooq Ali Shah Warsi apne waqt ke bohot hi bade buzurg aur qabil CID officer guzre hai. Film industry ke bade bade log Aap ke Dast-E-Haq par bai'at hai. Aap ki khanqah sharif ka yeh dastoor hai ke janwaro ko bhi har din khaana diya jaata hai. Aap ki khanqah sharif mein har waqt bheed lagi rehti aur hazaro talib Aap se Sarkar Waris Pak ka faiz liya karte. Ek martaba aag par deg chadhi hui thi aur uss mein chhed ho gaya toh Aap ne apna haath aag aur deg ke beech rakh diya aur Aap ke haath ko zara bhi nuqsan na hua. Aap Nainital mein zilla Haldwani mein aaram farma hai.
Aapka janm 1860 mein hua aur visal 1997 mein. Iss tarah se Aapne 137 saal ki ba barkat umr paayi. Jawani ka kaafi hissa Aapne Kintoor ke qabristan mein Ibadat-O-Riyazat mein guzara. Aap Sarkar Waris Pak se Dakhil-E-Silsila hai aur Sarkar ke bhanje Hazrat Sayed Haji Ibrahim Shah Sahab Warsi (R.A) se ehramposh. Aap har saal 11, 12 aur 13 Rabi-Ul-Awwal ko badi dhoom se meelad sharif manate jis mein kayi log shareek ho kar faizeaab hote. Hazaro laa ilaaj mareezo ne Aapke dar se shifa paayi aur kayi bey aulad Aapke dar se Sahib-E-Aulad hue. Aapki mashoor karamato mein se ek yeh thi ki jis tarah Sarkar Waris Pak ke haath mein thermometer kaam nahi karta tha usi tarah Aapke haath mein aate hi thermometer ka paara bilkul harkat nahi karta tha. Zindagi mein kabhi bhi Aapki nabz mehsoos nahi hoti thi par jab Aapka parda hua tab nabs chalne lagi thi. Aapka mazar sharif Babagunj, Nanpara mein hai. (Hazrat Al-Haaj Sufi Rafique Ali Shah Sahab Warsi inhi se ehramposh hai).
Aap Sarkar Waris Pak se Dakhil-E-Silsila hai aur Hazrat Sayed Haji Abul Hasan Shah Sahab Warsi (R.A) urf 'Sarkar ki Pari' ke Faqeer hai. Aapka shumar Etawah ke raeeso mein kiya jaata hai. Kayi tawaifo ne Aapke Dast-E-Haq par tauba kar ke nek aur ba amal zindagi guzari. Aap jab apne Shaykh Hazrat Sayed Haji Abul Hasan Shah Sahab Warsi (R.A) ko ghusl de rahe the tab Aapne jaagti aankho se Rasool Allah Salallahu Alaihi wasallam ka deedar kiya tha aur Rasool Allah ne Aapko apni kaali kamli ata farmayi thi jo aaj bhi Aapke aastane mein maujood hai. Aaj bhi uss jagah se musalsal khushboo aati hai. Hazrat Sayed Haji Abul Hasan Shah Sahab Warsi (R.A) ki dargah bhi Aap hi ne tamer karwayi. Aapka mazar sharif Etawah, Uttar Pradesh mein maujood hai.
Aap 'Sarkar ki Pari' ke naam se mashoor hai. Apne Peer Waris Pak ke hukm se Ishq-E-Ilahi mein Aapne 12 saal musalsal roza rakha. Aapka mazar sharif Etawah, Uttar Pradesh mein maujood hai.
Aap Sarkar Waris Pak ke bhanje hai. Sarkar Waris Pak se Dakhil-E-Silsila hai aur Sarkar ke visal ke teesre din Khadim-E-Khaas Hazrat Sayed Maroof Shah Sahab Warsi (R.A) se ehram ata hua. Mufti-E-Kiram aur Ulema Aapki bohot tazeem kiya karte the. Hujjat-Ul-Islam Hazrat Hamid Raza Khan Sahab (R.A) aur Mufti-E-Azam Hazrat Mustafa Raza Khan Sahab (R.A) ne khud Aapki palkhi mubarak ko kaandha lagaya tha. Sarkar Waris Pak ka farman hai ke 'Sayed Ibrahim ka aur Humara khoon ek hai'. Aap Sarkar Waris Pak ke Aastana Mubarak mein hi aaram farma hai.
Aapka watan shuru se hi Deva Sharif raha. Aapka shumar Deva Sharif ke raeeso mein kiya jaata hai. Aap Sarkar Waris Paak ke bohot hi mumtaz khadimo mein se hai. Asl naam 'Sayed Karam Ahmed' tha, baad Ehramposhi Peer Waris Paak se 'Maroof Shah' naam ata hua. Poori zindagi apne Peer Waris Paak ki ghulami mein guzar di. Jis zameen par Sarkar Waris Paak ka Aastana Mubarak bana hai woh Aapne hi Ishq-E-Waris mein Sarkar ko nazr kar di thi. Aapne hi Sarkar Waris Paak ke hukm se Hafiz Pyaari ko aadha bigha zameen ata ki thi. Chaahe jo mausam ho Aapka yeh mamool tha ke Tahajjud ke waqt apne ghar se wuzu ka paani sar par rakh kar Peer Waris Paak ki bargah mein hazir hote. Aakhri dum tak Sarkar Waris Pak ki khidmat par faaiz rahe.
Huwal-Warisul-Kareem.
Aapka watan Deva Sharif ke paas Bada gaaon hai. Aapke walid Hazrat Fazal Kareem Shah Sahab Warsi (R.A) bhi Sarkar ke Faqeer the. Aapka asl naam 'Hafiz Abdul Kareem' hai. Baad Ehramposhi 'Hafiz Pyaari Shah' naam ata hua. Kamal ke Aalim-E-Deen the. Aapka poora khandan Sarkar Waris Paak ki ghulami mein tha jin mein Sarkar ke bohot hi mashoor Faqeer Humshaql-E-Waris, Hazrat Maulvi Noor Kareem Shah Sahab Warsi (R.A) bhi hai jo Aapke bade abba lagte hai. 19 saal ki umr mein Sarkar se mureed hue aur kayi saal Bahraich Sharif ke junglo mein Ibadat-O-Riyazat mein guzar di. Aapko Hara Rang bohot azeez tha. Ehramposhi se pehle Aapka Kurta, Pajama, Topi, Joote sab hare Rang ke hote the. Ba Hukm-E-Waris Paak Hazrat Sayed Sayed Maroof Shah Sahab Warsi (R.A) ne Aapko zameen chunne ke liye kaha, Hafiz Pyaari ne apne Asa Mubarak se nishan banaya aur lagbhag Aadha Bigha (approx. 13000 sq ft) zameen apne liye le li, wahi par makan banwaya jahan Sarkar Waris Paak har mahine chaand ki 11 tareekh ko jalwa afroz hote. Visal Deva Sharif mein hi hua aur wahi aaram farma hai.
Huwal-Warisul-Kareem.
Aap Sarkar Waris Pak ke khuddamo mein se hai. Poori zindagi Sarkar Waris Pak ki khidmat ki aur Sarkar ke saath kaafi safar bhi kiya. Sarkar ke visal ke baad Deva Sharif ke qareeb ek gaaon hai Gangvara, wahi rahe aur wahi visal farmaya. Mazar sharif Gangvara mein hai.
Huwal-Warisul-Kareem.
Aap Hazrat Hafiz Pyaari Shah Sahab Warsi (R.A) ke bhai hai. Deva Sharif mein hi rahe aur yahi visal farmaya.
Huwal-Warisul-Kareem.
Aapki paidaish 1827 mein Behma, Sitapur mein hui. Sarkar Waris Paak ke mumtaz khadimo mein Aapka shumar hota hai. Aapka asl naam 'Faiz Ahmed' hai. Darbar-E-Warsi se 'Faizu Shah' naam ata hua. Aapne paidal Hajj bhi ada kiya hai. Aapke walid Hazrat Munnu Miya Wali-E-Kamil the jo kheti kiya karte the. Murshid ki talash mein Aapne Ajmer Sharif, Dehli, Kaliyar Sharif, Mumbai, Panipat ka safar kiya. Bil aakhir Bahraich Sharif mein Hazrat Sayed Salar Mas'ood Ghazi Raziallahu Taa'la Anhu ki mazar par ek khadim mila. Aapne unse mureed honi ki khwahish zahir ki. Khadim ne kaha ke tumhara hissa Deva Sharif mein Sarkar Waris Paak ke paas hai. Aap paidal Deva Sharif pohoche aur Sarkar ko dekhte hi qadmo se lipat gaye. Sarkar Waris Paak ke hukm se Aap Deva Sharif se Fajr ki Namaz padh ke apni Walida ki khairiyat poochne paidal apne nanihal Banehra Birbal jaate, Zuhr ki Namaz wahan ada karte, apni Walida ki khidmat karte aur Maghrib mein Deva Sharif pohoch jaate. 12 saal bila nagah yahi mamool raha. Walida majida ke intiqal ke baad Deva Sharif mein hi rahe aur 46 saal ki umr mein Sarkar se ehram ata hua. Aapka visal 1937 mein hua. Iss tarah Aapne 110 saal ki Ba Barkat Umr paayi. Sarkar Waris Paak ke aakhri dum tak Dil-O-Jaan se khidmat ki. Aapka Mazar sharif aapke nanihal Banehra Birbal, Sitapur mein hai.
Huwal-Warisul-Kareem.
Aapka janm 1872 Sanghoi, Jhelum mein hua. Asl naam Aapka 'Qazi Muhammad Khursheed Alam' hai. Baad ehramposhi ke 'Hafiz Akmal Shah' urf 'Punjabi Hafiz' hua. Aap Hazrat Rukn-E-Alam Chishti Raziallahu Taa'la Anhu ke pote hai aur Mughal Badshah Shahjahan ki aal se hai. Aap Hindustani fauj mein ba haisiyat Maulvi the. Jab platoon ka Dehli mein kayam hua Aap bhi Dehli gaye. Wahan hajjam ke yahan hajamat banwane gaye toh Dehli station par bheed dekh kar dang reh gaye. Poochne par pata chala ke ek buzurg Hazrat Haji Sayed Waris Ali Shah Sahab naam ke tashreef laa rahe hai. Dil mein mulaqat ka shauq jaaga. Jaise hi Sarkar Waris Pak pe nazar padi qadambos ho gaye. Sarkar ne gale se laga kar kaha 'Aa gaye Punjabi Hafiz, chalo fir milege.' Raat bhar bechain rahe aur subh ko Darbar-E-Warsi mein hazir ho kar mureed hue. Sarkar ke hukm se 13 saal junglo mein Ibadat-O-Riyazat ki aur Sarkar ke visal ke pehle jumerat ke qul sharif ke din Sarkar Waris Pak ke zeb tann kiye hue ehram se Hazrat Aughat Shah Sahab Warsi se ehramposh hue. Nadala, Punjab mein bhi khanqah tameer karwayi. India-Pakistan ke partition ke baad Pakistan mein hi rahe aur 1948 mein wahi visal farma gaye. Mazar Chhapar Sharif, Rawalpindi mein hai.
Huwal-Warisul-Kareem.
Aap Sarkar Waris Pak ke haath ke Faqeer hai. Aapko Sarkar Waris Pak ne aisa ilm bakhsha tha ke Aapke jism se sandal ki khushboo aati thi aur aaj bhi Aapki qabr mubarak se sandal ki khushboo aati hai. Mazar sharif Kolkata mein Gobra qabristan mein hai.
Huwal-Warisul-Kareem.
Aap Sarkar Waris Paak ke bohot hi azeem Faqeer guzre hai. Aapka parda Sarkar Waris Pak ke zamane mein hi ho gaya tha. Zikr-O-Fiqr mein kamal hasil tha. Jab Aapke jism se rooh parwaz kar gayi tab bhi Aapke jism se 'Allah Allah Allah' ki aawaz jaari thi. Jab Bargah-E-Warsi mein yeh mamla bataya gaya toh Sarkar ne farmaya ke unke kaan mein farsi ka yeh jumla keh do "Supurdum Ba Toh Maa Khoo Pesh Raa". Yeh jumle Aapke kaano mein kehte hi aawaz band ho gayi. Aiynul yaqeen kitab k musannif bhi aap hai. Ye wo kitab hai jisko sarkar Alampanah Huzoor Waris Pak ne apne dast e haq pe lekar usko sharf diya. Aapki zauja mohtarma bhi faqeer thi. Aapka mazar sharif Shakoorgunj, Bulandshahr Aapke Peer bhai Nawab Abdul Shakoor Warsi Sahab ke baug mein hai.
Huwal-Warisul-Kareem.
Aaap Sarkar Waris Pak ke haath ke Faqeer hai. Kamal ke Aalim-E-Deen the aur Hazrat Abu Bakr Siddiq Raziallahu Taa'la Anhu ki aal se hai. Silsila-E-Warsiya ki bohot hi mashoor kitab 'Mishqat-E-Haqqaniya' Aap hi ki likhi hui hai. Hazrat Haji Imdadullah Muhajir Makki (R.A) Aapki bohot tazeem karte aur jab bhi Aap hajj karne jaate toh Haji Imdadullah Muhajir Makki Aapko Makkah Mukarrama mein apni haveli mein hi rukate. Aapka mazar sharif Model colony, Karachi mein hai.
Huwal-Warisul-Kareem.
Aap Sarkar Waris Pak ke haath ke Faqeer hai. Sarkar ne Aapko tableegh ke liye Bengal bheja tha. Mazar sharif Khidderpore, Kolkata mein hai.
Huwal Warisul Kareem
Aapka janm 1874 mein Bachhraon, Amroha mein hua. Aap Sarkar Waris Pak ke bohot hi mashoor Fuqura kiram mein se hai. Aapke walid Hazrat Sayed Shamsuddin Chishti Sabri (R.A) ne parda karne se pehle Aapko Sarkar Waris Pak ki ghulami qubool karne ki taqeed farmayi thi. Kamal ke Aalim-E-Deen guzre hai. Aapka asl naam Sayed Badruddin hai. Ehramposhi ke baad Sarkar se 'Aughat Shah' naam ata hua. Sarkar Waris Pak aur Aapki pehli mulaqat Hazrat Shams Tabrezi (R.A) aur Hazrat Maulana Muhammad Jalaluddin Rumi (R.A) ki mulaqat si maloom hoti hai. Sarkar se ehram Milne ke baad apne Peer Waris Pak ki khidmat ki aur Sarkar ke visal ke baad ta hayat aastane ki khidmat ki. Sarkar Waris Pak ki bargah mein jo bhi khutoot (Letters) aate Aap unhein padh ke sunate aur ba Hukm-E-Waris Pak jawab bhi tehreer farmate. Aapne kayi kalam, ghazal, Naat-O-Manqabat, dohe likhe jo Aapki kitab 'Faizan-E-Warsi' mein mehfooz hai jo aaj bhi mehfilo ki zeenat hai jin mein sabse mashoor 'Saanso ki maala pe' hai. Aapka visal 1952 mein Patna, Bihar mein hua aur wasiyat ke mutabiq Bachhraon, Amroha mein apne walid ki mazar ke paas aaram farma hai.
Huwal Warisul Kareem
Aap Sultanpur riyasat ke raja the. Chahe Karthik Urs ho ya Chaith Urs ya Sarkar Waris Pak ki bargah mein koi aur program ho, Aap badh chadh kar intezamat mein hissa lete. Poori zindagi apne Peer Waris Pak ki Dil-O-Jaan se khidmat ki. Aapka mazar Deva Sharif ke qareeb Gangvara mein Hazrat Rahim Shah Sahab Warsi (R.A) ke bagal mein hai.
Huwal Warisul Kareem
Aapka janm 1887 mein Jalandhar, Punjab mein Hazrat Miya Ahmed Bakhsh Sahab Warsi ke yahan hua. Aapka naam 'Abdul Kareem' rakha gaya. Taleem muqammal karne ke baad 1927 mein jab Aap Telegraph Dept. mein Deputy Director ki post par faaiz the tabhi Hazrat Bedum Shah Sahab Warsi (R.A) ka Jalandhar aana hota hai. Jaise hi Aapki nigah Huzoor Bedum Shah Sahab par padi aap bey qarar ho jaate hai. Aapki kaifiyat mein tabdeeli aati hai aur ek roz khwaab mein Sarkar Waris Pak ki ziyarat se musharraf hote hai ke Sarkar ne Aapko Hazrat Bedum Shah Sahab Warsi (R.A) ke hawale kiya. Aap aur bechain ho jaate hai aur isi bechaini mein Dehli mein Hazrat Kaleemullah Chishti Jahanabadi ki bargah mein hazari dete hai. Wahan se Hazrat Sufi Sarmad Shaheed fir Hazrat Naseeruddin Mehmood, Hazrat Ameer Khusro, Hazrat Mehboob-E-Ilahi fir Hazrat Khwaja Qutbuddin Bakhtiyar Kali ki bargah mein hazir hote hai. Wahan se Aap Deva Sharif rawana hote hai jahan Huzoor Bedum Shah Sahab pehle hi aapke muntazir the. Huzoor Bedum Shah ne mureed kiya, ehramposh kiya aur Aapka naam 'Hairat Shah' rakha. Aap ba Hukm-E-Rehbar 1927 se 1963 safar mein hi rahe aur apne liye koi makan nahi banwaya. Silsila-E-Warsiya ke mashoor shayro mein Aapka naam aata hai. Aapne 25 martaba Hajj-E-Baitullah ada kiya. Kaafi arsa Kapurthala ke junglo mein Ibadat-O-Riyazat mein guzara. 1963 mein Karachi mein parda farmaya aur Paposh Nagar Qabristan, Karachi mein aaram farma hai.
Huwal Warisul Kareem
Aapka janm Kot, Fatehpur mein hua. Khuda ki talash mein Aapne kayi arsa jungle aur biyaban mein guzare. Isi talash mein ek pahad par ek buzurg se Aapki mulaqat hui. Aapne socha ke unhi se mureed ho jaaon. Aapne kaafi israr kiya lekin buzurg ne mureed nahi kiya. Unhone farmaya ke tumhara hissa Sarkar Waris Pak ke paas hai. Aap pata pooch kar Deva Sharif pohoche. Jaise hi Sarkar Waris Pak ko dekha Sarkar ne farmaya 'Apna haq lene aa gaye.' Aap qadambos ho gaye. Sarkar ne mureed kiya aur khuch dino baad ehramposh kar ke 'Miskeen Shah' naam ata kiya. Sarkar ne farmaya 'Humne Miskeen (gareeb) nahi, raja banaya hai.' Faqeer banne ke baad Aapne Rajapur, Banda mein qayam farmaya aur wahi visal hua. Mazar sharif Rajapur, Banda mein hai.
Huwal Warisul Kareem
Aap Sarkar Waris Pak ke haath ke Faqeer hai. Aapka mazar sharif Sudamapur, Uttar Pradesh mein hai.
Huwal Warisul Kareem
Aap Sarkar Waris Pak ke haath ke Faqeer hai. Silsila-E-Warsiya ki bohot hi mashoor kitab 'Nida-E-Gaibi' Aap hi ki likhi hui hai. Aap Juma ki namaz Masjid-E-Nabvi Sharif mein Riyaz-Ul-Jannah (Jannat ki Kiyari) mein ada farma rahe the, doosri rakat mein sajde ki halat mein Aapka visal ho gaya. Jannat-Ul-Baqi Sharif, Madina Munawwara mein aaram farma hai.
Huwal Warisul Kareem
Aapka janm 1925 mein Sanghoi, Jhelum mein Subedar Qazi Hazrat Muhammad Yusuf Qadri Sarwari ke yahan hua jo Mughal Badshah Shahjahan ki aal se hai. Aap Hazrat Rukn-E-Alam Chishti ke pote hai jo Hazrat Khwaja Muhammad Shamsuddin Sialvi (R.A) ke mureed the. Aap Hazrat Hafiz Akmal Shah Sahab Warsi (R.A) ke bhatije hai jinhone Aapka naam 'Abdul Aziz' rakha. 1938 mein taleem hasil karte hue aap achanak Kaliyar Sharif hote hue Dehli pohoche. Wahan se Aap Ajmer Sharif pohoche jahan Hazrat Hasan Imam Chishti ne Bargah-E-Gareeb Nawaz ki chaabi Aapko di. Aap Darbar-E-Gareeb Nawaz kholne aur band karne ki duty pe faaiz the. 11 mahine 20 din baad Hazrat Hasan Imam Chishti ne Aapko Deva Sharif jaane ka hukm diya. 1939 mein Deva Sharif mein Huzoor Aughat Shah Sahab Warsi (R.A) se mureed hue aur apne ghar Sanghoi laut ke taleem muqammal ki. 1956 mein Hazrat Miya Hairat Shah Sahab Warsi (R.A) ne Aapko aadha ehram sharif ata kiya aur Hazrat Alaf Shah Sahab Warsi (R.A) se muqammal ehram sharif ata hua. Aapne Pakistan mein kayi masjid, madarse aur school tameer karwayi. Aapne 49 hajj aur 74 umrah ada kiye. 2004 mein sehri ke waqt sajde ki halat mein Aapka visal hua. Mazar Chapper Sharif, Rawalpindi mein maujood hai.
Huwal Warisul Kareem
Aap Hazrat Sayed Haji Abul Hasan Shah Sahab Warsi (R.A) urf 'Sarkar ki Pari' ke Faqeer hai. Hazrat Sayed Abul Hasan Shah Sahab ne apne seene par ehram laga kar inko diya tha. Aapka mazar Deva Sharif mein Hazrat Sayed Qurban Ali Shah Raziallahu Taa'la Anhu ke Aastana Mubarak ke paas hai.
Huwal Warisul Kareem
Aapka janm 1906 mein Ajmer Sharif mein hua. Aapke walid Hazrat Sayed Tahoor Hasan Chishti (R.A) Aalim-E-Deen the. Aapne buniyadi ur taleem Ajmer Sharif mein Darul Uloom Moinia Usmaniya mein hasil ki. 14 saal ki umr mein Hazrat Haji Miya Hairat Shah Sahab Warsi (R.A) se Ajmer Sharif mein mureed hue aur 1947 mein Hazrat Maqsood Shah Sahab Warsi (R.A) se ehramposh. Aapne Africa mein Silsila-E-Warsiya ka chiragh raushan kiya. Aapko shayri mein bhi kamal hasil tha. Aapke likhe hue bohot se kalam hai jin mein sabse mashoor kalam 'Sar-E-Laa makan se talab hui', 'Ya Sahib-Ul-Jamal' aur 'Na samjho khaak ka putla' shamil hai. Aapne 21 martaba Hajj-E-Baitullah ada kiya. 1993 mein Aapka visal hua aur Mewa Shah Qabristan, Karachi mein aaram farma hai.
Huwal Warisul Kareem
Aap bohot hi mashoor Faqeer wa Khadim-E-Aaatana Waris Pak guzre hai. Aap bohot hi khoobsurat andaz mein azaan diya karte the. Aapne 140 saal ki ba barkat umr paayi. Poori zindagi Aastana-E-Aaliya Warsiya ki khidmat ki aur Deva Sharif mein hi visal hua.
Huwal Warisul Kareem
Aap Sarkar Waris Pak se Dakhil-E-Silsila the aur Sarkar ke bhanje Hazrat Sayed Muhammad Ibrahim Shah Sahab Warsi (R.A) se ehramposh. Aapka asl naam 'Rahmatullah' hai. Baad ehramposhi ke 'Hurmat Shah' naam ata hua. Uttar Pradesh ki kayi tawaifo ne Aapke Dast-E-Haq par bai'at ki aur tauba kar ke ba amal zindagi guzari. Aapka mazar sharif Balrampur, Uttar Pradesh mein hai.
Huwal Warisul Kareem
Aap Hazrat Alaf Shah Sahab Warsi (R.A) ke Faqeer hai. Bohot hi ba kamal buzurg guzre hai. Aapka asl naam 'Sayed Abdul Samad' hai. Baad ehramposhi ke 'Dulare Shah' naam ata hua. Visal farmane ke 8 saal baad Aap apni qabr ke bahar nikal kar lete hue the, na jism na hi ehram maila tha. Hazaro logo ne yeh karamat dekhi thi. Aapka mazar sharif Kaushambi, Allahbad mein hai.
Huwal Warisul Kareem
Aapka naam 'Pundit Deendayal Sharma' tha. Qubool-E-Islam aur Sarkar Waris Pak ka Faqeer banne ke baad Hazrat Haji Deendaar Shah Sahab Warsi (R.A) hue. Mazar Sharif Luniyapura Qabristan, Indore mein hai.
Huwal Warisul Kareem
Aapka janm Ganeshpur, Barabanki mein hua. Aap British govt. ke under Tehsildar ki post par the. Aapka asl naam 'Pundit Sahaj Ram Dixit' tha. 1951 mein Aastana-E-Aaliya Warsiya mein Hazrat Shahid Shah Sahab Warsi (R.A) ke haatho islam qubool kiya aur Silsila-E-Warsiya mein mureed hue. 1970 mein Hazrat Shabbir Shah Sahab Warsi (R.A) se Aapko ehram ata hua jo Hazrat Haji Miya Aughat Shah Sahab Warsi (R.A) ke Faqeer the. Baad ehramposhi aapka naam 'Nayab Shah' rakha gaya. Aap Deva Sharif mein hi rahe aur wahi visal farmaya. ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Aap Sarkar Waris Pak ke haath ke Faqeer hai. Mazar sharif Indore mein hai. ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Aapka janm Jhelum mein 1953 mein Muhammad Anwar Sahab ke yahan hua. Aapka asl naam 'Khursheed Ahmad Alvi' tha. Aap Hazrat Izzat Shah Sahab Warsi (R.A) se Dakhil-E-Silsila the. 1992 mein Hazrat Izzat Shah Sahab Warsi (R.A) se hi ehram ata hua aur 'Ahmad Shah' naam ata kiya gaya. Ehramposhi ke baad aap jab hajj ke liye tashreef le gaye aur Masjid-E-Nabvi Sharif mein ek din jab aap so rahe the toh khwaab mein Sarkar-E-Do Jahan Salallahu Alaihi wasallam ke deedar se mustafeez hue. Rasool Allah ne aapko farmaya ke Masjid-E-Nabvi Sharif mein hi ruke aur hotel na jaaye, ek aadmi tai waqt par aayega aur aapko khana aur jo zaroorat ki cheezein hai de diya karega aur usse khuch na pooche. Rasool Allah ke hukm se aap Masjid-E-Nabvi Sharif mein hi ruke, ek anjan aadmi aapko zaroorat ki cheezein de jaata. Aapne bechaini mein usse ek din pooch hi liya ke tum kaun ho. Uss aadmi ne kaha ke Rasool Allah ne aapko poochne se mana farmaya hai aur mujhe batane se. Yeh keh kar woh chala gaya. Aap bohot hi qabil aur kum sukhan Faqeer the. 2014 mein visal farmaya aur Chapper Sharif, Rawalpindi mein hi aaram farma hai. ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Aap Huzoor Bedum Shah Sahab Warsi (R.A) ke Faqeer hai. Mazar sharif Pickui Qabrastan Agra mein hai. ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Aap ka janm 1887 mein Rampur mein Hazrat Maulana Sayed Muneer Ali Aarzumand Sahab (R.A) ke yahan hua jo Rampur ke Madarsa-E-Aaliya ke pehle ustad the. Aapka asl naam 'Maulana Hakim Sayed Abdul Gani' hai. Baad ehramposhi ke 'Qaisar Shah' naam ata hua. 1920 mein Aapko ehram ata hua. Aapne 1940 mein Karachi mein hi qiyam kiya aur baad mein wahi visal hua. ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Aap Hazaribagh, Jharkhand ke raja the. Sarkar Waris Pak se mureed hoke ehramposh hue. Jharkhand mein hi mazar sharif hai. ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Aap Sarkar Waris Pak ke Faqeer hai. Mazar sharif Jagatdal, Kolkata mein hai. ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Aapka janm 1863 mein Allahbad mein hua. Aapke walid Hazrat Ehsan Ali Sahab (R.A) Silsila-E-Qadriya ke buzurg the. Aapko arbi aur farsi mein maharat hasil thi. Kaafi arsa Sarkar Waris Pak ki khidmat ki. Aapka asl naam 'Siddiq Ahmed' tha. Baad ehramposhi 'Benazeer Shah' naam ata hua. Aapka visal 1939 mein hua. ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Aap Hazrat Alaf Shah Sahab Warsi (R.A) ke Faqeer hai. Deva sharif mein hi Aapka mazar hai.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Aap Hazrat Haji Sayed Umar Ali Shah Sahab Warsi (R.A) ke Faqeer hai. Mazar Sharif Agra mein hai.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Aap Hazrat Haji Siddiq Shah Sahab Warsi (R.A) ke Faqeer hai. Aapka mazar sharif Nekrahi, Sultanpur mein hai.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Aap Sarkar Waris Pak ke haath ke Faqeer hai. Silsila-E-Warsiya ke bohot hi mashoor buzurgo mein Aapka naam aata hai. Aapne Deva Sharif mein ek masjid bhi banwayi hai. Ranipur, Kaushambi mein 1955 mein visal hua aur wahi aaram farma hai.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Aapka janm 1901 mein Jalandhar, Punjab mein hua. Aap Hazrat Bedum Shah Sahab Warsi (R.A) ke Faqeer hai. Mazar sharif Ashrafabad, Multan mein hai.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Aap Hazrat Sayed Haji Umar Ali Shah Sahab Warsi (R.A) ke Faqeer hai. Mazar Sharif Gwalior, Madhya Pradesh mein hai.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem
Aap Sarkar Waris Pak ke mureed hai aur Hazrat Haji Sandal Shah Sahab Warsi (R.A) ke Faqeer hai. 1972 mein Aapka parda hua.
ALLAHUMMA SALLE ALA MUHAMMADIU WA'ALA AALE MUHAMMADIN WABARIK WASALLIM.
Huwal Warisul Kareem