Biography
Aapka janm 01 January 1971 mein Hazrat Irfan Ali Siddiqi Sahab (R.A) ke yahan hua. Aap Asharfa, Nanpara mein paida hue jahan zyadatar log ya toh Sayed hai ya Siddiqi hai. Aap Hazrat Abu Bakr Siddiq Raziallahu Ta'ala Anhu ki aulad mein se hai. Bachpan se hi Aapko yateemo aur gareebo se muhabbat thi chaahe koi bhi dharm se ho. Bachpan mein Aapka zyadatar waqt bhookho aur gareebo ko khana khilane aur unki madad karte beet ta. Aapke bachpan ka waqiya hai ke ek Jain sadhu Aapke ghar ke saamne se guzar raha tha. Aapne use dekhte saath hi aawaz di aur khana khilaya. Usne rote hue Aapse arz ki ke maine 3 din se khana nahi khaya hai aur mujhe kisi se bhi khana mangne ki ijazat nahi thi, Aapko kaise pata chala ke main bhookha hu. Aapne jawab diya ki mere Peer Waris Pak ne mujhe ek din pehle hi basharat di thi ke ek Jain sadhu kal aayega, woh 3 din ka bhookha pyaasa hoga, use khana de dena. Jab maine tumhein dekha toh main samajh gaya ke Sarkar Waris Pak ne tumhare aane ki hi khabar di thi. Yeh jawab sunkar woh Jain sadhu hairat zada tha. Jo bhi Aapke ghar aata kabhi khaali pet ya khaali haath nahi jaata. Aaj bhi Aapki Khanqah Sharif ka yeh khaas sa hai ke chaahe jo bhi dharm, maslak, silsile, manyata ka maan ne wala ho, kabhi bhi khaali nahi jaata.
Gareeb, yateem aur zarurat mando ki madad karne ke alawa Aapka bachpan Qur'an Pak ki tilawat, Zikr-O-Fikr, Hadees-E-Nabvi aur Auliya Kiram ke waqiyat padhne mein guzarta. Aap aksar Hazrat Sayed Salar Mas'ood Ghazi Raziallahu Ta'ala Anhu ki mazar sharif pe bhi hazir hua karte. Aapne kaafi arsa Ajmer Sharif aur Himalaya ki gaar mein bhi Zikr-O-Azkar mein guzara hai. Aapke ghar ke qareeb jungle mein Hazrat Abbas Ali Shah Sahab (R.A) ki mazar pe bhi hazir hua karte.
Aap Hazrat Sayed Mashooq Ali Shah Sahab Chishti Nizami Warsi (R.A) se Dakhil-E-Silsila hai jo Hazrat Nizamuddin Auliya Mehboob-E-Ilahi Raziallahu Ta'ala Anhu ki behen Bibi Ruqayya Raziallahu Ta'ala Anha ki aal se hai jo ab Nainital, Haldwani mein aaram farma hai. Aapko ehram sharif Hazrat Sayed Masoom Ali Shah Sahab Warsi (R.A) se ata hua jo ab Babagunj, India-Nepal border ke paas aaram farma hai aur Sarkar Waris Pak ke zamane ke Faqeer hai.
Aap jab Hajj-E-Baitullah ada karne gaye the tab Muhaddis-E-Makkah Mukarrama Hazrat Sayed Muhammad Alvi Sahab (R.A) jo 40 saal Masjid-E-Haram Sharif mein imamat kar chuke hai aur Hazrat Mulana Ziauddin Madni Sahab (R.A) ke mureed hai unhone apne ghar pe Aapki dawat ki thi. Madina Munavvara mein Abul Ulai silsile ke ek buzurg ne Aapko Rauza-E-Rasool Allah ki dhool mubarak tohfe mein di thi. Sarkar Waris Pak ki tarah aap din bhar muqaddas muqamat ki ziyarat karte aur raat bhar ibadat guzar hote. Makkah Mukarrama aur Madina Munawwara ke kaafi log Aapse Dakhil-E-Silsila hue the.
Aap ba Hukm-E-Waris Pak Mumbai mein tashreef farma hue. Bohot se log jo har qism ke nashe aur burai mein mubtila the aur namaz, Qur'an, Zikr-O-Fikr se door door tak naata nahi tha Aapke Dast-E-Haq pe tauba kar ke ba amal zindagi guzarte hue nazar aaye. Jo bhi Aapse Dakhil-E-Silsila hote unko Zikr-E-Ilahi diya jaata jise kar ke woh Sirat-E-Mustaqeem par faaiz hote.
Duniya bhar mein hazaro, laakho log Aapse faizeaab hue aur roohani taraqqi paayi. 'Sapno ka sheher' kehlane wale Mumbai mein Silsila-E-Warisya ka chiragh roshan karne wali Zaat Aapki hi hai.
Sarkar Waris Paak ki tarah khanqah mai sare dharm aur zaat ke logo ijazat hai.
Sabse Badi Silsilaye Warsiya ki khanqah Mumbai inhi ke sarparast mai chalayi jaati hai. South Africa mai WAFSA (Warsi Foundation Of South Africa) jo India aur South Africa mai chal rahi hai wo bhi inhi ke sarparast mai hai jiska maqsad hai gareeb ki zarurat, khana pochana aur bhut se Auliya ka Urs aur Sarkar Waris ki taleem logo tak pocha rahe.
Hazrat Haji Sufi Dr. Faqeer Rafique Ali Shah Warsi ka Ilm aur Muhabbat ne bhut se logo ki zindagi badal di aur Insha Allah hum bhi unke bataye hue raste par chalege.
Aapne 05 May 2022 ko wafat paayi aur apne Khaliq-E-Haqeeqi se jaa mile. Aapka ilm, faiz aur muhabbat aaj bhi aam hai jisse log qayamat tak faizeaab hote rahenge. Aap apne watan Asharfa, Nanpara mein apne baug mein aaram farma hai.Aqwal
- •
Jiska Waris Hi Waris Ho Usko Kahi Aur Jaane Ki Zarurat Nahi
- •
Ek Hi Dar Pakad Lo, Tumko Sab Kuch Wahi Se Ata Hoga
- •
Muhabbat Ek Se Hoti Hai, Jo Sab Se Muhabbat Kare Wo Dil nahi
- •
Peer Isi Liye Kiya Jaata Hai Ke Insan Ka Guroor Toote, Insan Jhukna Seekhe, Jab Tum Peer Ke Qadmo Mein Sar Jhukate Ho Tumhara Guroor Toot Jaata Hai.
- •
Apne Ma Baap Ke Chehro Ko Pyaar Se Dekho Aur Durood Sharif Padha Karo
- •
Quran Mai Har Chiz Ka Hal Hai
- •
Har Beej Mai Ped Banne Ki Taqat Hoti Hai Par Jo Beej Phatne Se Dara Wo Kabhi Ped Na Ban Payega.
- •
"Mil Jaaye Toh Shukr, Na Mile Toh Sabr Ye Aam Logo Ka Tareeqa Hai" Aur "Mil Jaaye Toh Sadqa, Na Mile Toh Shukr Ye Sufiya Ikram Ka Tareeqa Hai".
- •
Ilm Guroor Paida Karta Hai Ishq Aajizi Laata Hai, Ilm Mai Tamam Firqe Hai Ishq Ka Koi Firqa Nahi, Ilm Gumrah Karta Hai Ishq Raahe Haq Batata Hai.
- •
Jab Guroor Karne Wala Hi Nahi Tika Toh Tumhara Guroor Kaise Tikega
- •
Jab Kisi Insan Ke Dil Mai Itna Sa Bhi Ishq Ka Diya Roshan Hai Toh Wo Shakhs Kisi Se Bhi Nafrat Kar Hi Nahi Sakta Hai
- •
Jo Marna Sikh Gaya Wo Jeena Sikh Gaya Aur Jo Admi Jeene Ke Chakkar Mai Na Jeena Sikh Pata Hai Aur Na Marna Sikh Pata Hai
- •
Allah Razzak Hai Uski Razzakiyat Par Bharosa Rakho, Allah Qadir Hai Uski Qudrat Par Bharosa Rakho
- •
Allah Ke Zikr Se Sab Kuch Mumkin Hai
- •
Khuda Ka Zikr Tume Khoobsurat Bana Dega
- •
Zikr Tumhare Gunaah Ko Jalata Hai Aur Tumhe Oonche Darjat Ka Hamil Banata Hai
- •
Zikr Tumara Toota, Zikr Tumara Choota, Tumhara Peer Se Raabta Toot Gaya
- •
Iss Qainaat Mai Jise Bhi Jo Bhi Mila Hai Allah Ke Zikr Ke Sadqe Se Mila Hai
- •
Tum Bhi Allah Ke Barguzeeda Bande Ban Sakte Hai Bus Jo Kaam Humein Hamare Peer Ne Bataya Hai Use Karte Rahe
- •
Zikr Se Pehle Ishq Hai, Agar Tumhein Apne Peer Se Ishq Nahi Hai Toh Tum Uska Bataya Hua Zikr Nahi Karoge
- •
Iss Qainat Mai Allah Ke Zikr Se Badhkar Kuch Nahi
- •
Jo Roz Khuda Ka Zikr Karta Hai Uss Par Raaz-E-Illahi Khulna Shuru Ho Jaate Hai
- •
Faqeer Ki Zuban Khuda Ki Talwar Hoti Hai
- •
Allah Jise Pyaar Karta Hai Use Kisi Aur Se Pyaar Hone Nahi Deta
- •
Faqeer Wo Jo Khud Ke Andar Dakhil Hona Janta Ho
- •
Durood E Paak Ki Kasrat Insan Ko Khoobsurat Bana Deti Hai
- •
Parwardigar-E-Alam Agar Tumhein Chahta Na Hota Toh Tumhein Paida Bhi Na Karta, Tumhein Chahta Hai Isliye Paida Kiya
Waqiyat
Billi Badshah
'Billi Badshah' Hazrat ki mureed thi. Aur aisi mureed ke Ramzan Sharif ke mahine mein Hazrat ke saath sehri karti thi, poore din khuch nahi khaati thi aur Hazrat ke saath iftar karti thi. Jab Hazrat Khanqah sharif mein hote toh Hazrat ke paas aake baith jaati ya Hazrat ke qadam choomti.
'Billi Badshah' ka jab intiqal hua use Hazrat ne apne ehram mein se qafan aur shajrah sharif diya tha.
Intiqal ke lagbhag 10 saal baad jab Khanqah sharif ka kaam chal raha tha tab uski qabr khul gayi thi aur uska jism, qafan, gulab paani, itr wagaira jo dafnate waqt daale gaye the sab waise hi the jaise abhi abhi dafnaya ho.