Waise tasavvuf mein hazaro azeem silsile hai. Har ek haq silsila Qabil-E-Ehteram hai. Lekin jo baat Silsila-E-Warsiya ki hai woh bahot hi anokhi hai iss liye ke iss silsile ki buniyad hi 'Muhabbat' hai. 'Muhabbat', chaahe apna ho ya gair. Sarkar Waris-E-Pak ne muhabbat ko hi silsile ki buniyad bana di taaki qayamat tak aane wale har mureed aur aqeedatmand jo bhi kaam kare aur jis maqsad se kare uss mein Muhabbat Shamil-E-Haal hai.
Aur Sarkar Waris-E-Pak ne muhabbat ka aisa tareeka bataya ke chaahe badshah ho ya ghulam, sab par asar kar gayi. Na sirf musalman, hindu, isai, atish parast (Parsi), sikh yahan tak ki yahoodi bhi khud ko Aap ka ghulam banane se rok na sake.
Isi liye Sarkar farmate hai ke Muhabbat Faathe Alam hai.